***************************************************
Dayaar-e-Gair mein kaise tujhe sadaa detey
tuu mil bhii jaataa to tujhe ga.Nvaa detey
tumheen ne ham ko sunaayaa na apanaa dukh varana
duaa vo karate ke ham aasamaan hilaa detey
hamein ye zom rahaa ab ke vo pukaareingey
unhein ye zid thii ke har baar ham sadaa detey
vo teraa Gam thaa ke taasiir mere lahajey kii
ke jis ko haal sunaate usey rulaa detey
tumhein bhulaanaa hii avval to dastaaras mein nahein
jo iKhtiyaar bhii hotaa to kyaa bhulaa detey
tumhaarii yaad ne koi javaab hii na diyaa
mere Khayaal ke ansoo rahe sadaa detey
samantoon ko mein taa-umr kosataa Syed
vo kuchh na kahate magar ho.nTh to hilaa detey
***************************************************
No comments:
Post a Comment