Sunday, May 27, 2007

Poetry ....

BHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GA
ABHI BHOOLNAY MAIN ZAMANAY LAGAIN GAY

ABHI TOU KITABON MAIN GULAB HAIN TAAZA
GYE UNN DINNON KAY AZAB HAIN TAAZA

ABHI ROSHNI KAY WOH SAAYE HAIN ZINDA
ABHI ZAKHMI CHAHAT KI GOONJAIN HAIN ZINDA

ABHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GA
ABHI BHOOLNAY MAIN ZAMANAY LAGAIN GAY

ABHI AASMAN KA RANG WOHI HAI,,,,,,,
ABHI PARBATON PAY DHUND WOHI HAI
ABHI USS KI SORAT HAI AANKHON MAIN ZINDA,,,,,
ABHI USS KI CHAHAT HAI KHOABON MAIN ZINDA,,,

ABHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GA,,,,
ABHI BHOOLNAY MAIN ZAMANAY LAGAIN GAY.,,

ABHI MOSAMON KA TAGHAYYOR WOHI HAI
ABHI UNN FIZAON MAIN KHUSHBO WOHI HAI
ABHI DILL MAIN USS KI MOHABBAT BASI HAI
ABHI AANKH MAIN USS KI SOORAT SAJI HAI

ABHI BHOOLNAY MAIN WAQT LAGAY GA
ABHI BHOOLNAY MAIN ZAMANAY LAGAIN GAY

2 comments:

Anonymous said...

asalam wa alaikum
janab...kamaal ki shayri ahi..
i liked it alot.
its really lovely..couldnt stop myself from reading it infinite times..love it!

HammaD AfzaL said...

thanks buddy ...