Tuesday, August 26, 2008

Poem on the plight of People from Tribal Areas Pakistan

kon in k maseeha ka dawa keray
ye jo be-ghar hoey apnay he dais mein
sir pe saya na pairon k neechay zameen
phir be zinda hain insaan k bhais mein
durd ki surkh chadar mein liptay hoey
ik doojay ko hairut say taktay hoey
yeah jo konon mein bethay hain sehmay hoey
in k chehron ki jhurian perho to zara
do qadam in ki janab berho to zara
in k bachon ko mazdor honay say kia
pas roti na ho to khilonay say kia
in k bachon k baray mein socho zra
in ki basti mein ja k dekho zra

door tuk be khushi ka nishan tak naheen
apni ghurbut say majboor yeah khemazan
in ki qismet mein kacha makaan tak naheen
kon samjhay ga ab in ki majboorian
sangzaday hoey moom ki putlian
kion pighelnay lagay in k sham-o-sahar
kion yeah apnay gharon say hoey dar badar
kon in k dukhon ka madawa keray
in ki ankhon mein phir say ujala keray
yeah jo baygher heoy apnay he dais mein
kon in k masail ka adawa keray

sochiye to ham he in k pursaan hain
sochiey aaj kion yeah pareshan hain
gerchay in ka hamara yaqeen eik hay
sarzameen eik hay aur deen eik hay
mulk-o-milut say ehd-e-wafa eik hay
sochiey to hamara khuda eik hay

Capital Talk by Hamir from the Regugee Camps for People from tribal areas Pakistan
http://pkpolitics.com/2008/08/26/capital-talk-26-august-2008/

No comments: