Tuesday, October 17, 2006

Faiz Ahmed Faiz !!!

Kalam-e-Faiz
___________________________________________
Na ginwao nawak-e-neem kash dil raiza raiza ganwa diya
Jo bacahy hain sang samaot lo tan-e-dagh dagh luta diya

Meray chara gar ko naweed ho saf-e-dushmanan ko khabar karo
Jo wo qarz rakhtay thay jaan par wo hisab aaj chuka diya

karo kaj jabeen pay sar-e-kafan meray qatilon ko gum'an na ho
Keh gharoor-e-ishq ka banmpan pas-e-mergh ham nay bhula diya

Udhar aik harf keh kushtani yahan lakh uzr tha guftani
Jo kaha to sun kay urha diya jo likha to parh kay mita diya

Jo rukay to koh-e-giran thay ham jo chalay to jaan say guzar gaye
Rah-e-yaar ham nay qadam qadam tujhay yadgaar bana diya

( Dast-e-teh-e-sang )
__________________________________________

Teray gham ko jaan ki talash thi teray jaan nisar chalay gaye
Teri rah main kertay thay sar talab sar-e-rahguzar chalay gaye

Teri kaj adayi say haar kay shab-e-intizar chali gayi
Meray zabt haal say rooth kar meray ghamgusaar chalay gaye

Na sawal-e-wasl, na arz-e-gham, na hikaitain na shikaitein
Teray ahd main dil-e-zar kay sabhi akhtiyar chalay gaye

Yeh hamein thay jin kay lubas par sar-e-rah siahi likhi gayi
Yehi daagh thay jo saja kay ham sar-e-bazm-e-yaar chalay gaye

Na raha janoon-e-rukh-e-wafa, yeh rasan yeh daar karogay kiya
Jinhain jurm-e-ishq pay naaz tha woh gonah gar chalay gaye

( Dast-e-teh-e-sang ) July 1959.
________________________________________

KHUDA WOH WAQT NA LAAYE

Khuda woh waqt na laaye keh sogwar ho too

Sakoon ki neend tujhay bhi haraam ho jaye
Teri musarat-e-paiham tamam ho jaye
Teri hayat tujhay talkh jaam ho jaye

Ghamon say aai'na-e dil gudaaz ho tera

Hajoom-e-yaas say baitaab ho kay reh jaye
Wafoor-e-dard say seemab hokay reh jaye
Tera shabaab faqat khwaab ho kay reh jaye

Gharoor-e-husn saraapa niaz ho tera

Taweel raton main too bhi qaraar ko tarsay
Teri nigah kisi ghamgusaar ko tarsay
Khazan raseeda tamana bahar ko tarsay

Koi jabeen na teray sang-e-aastan pay na jhukay

Keh jins ajz-o-aqeedat say tujhay shaad karay
Faraib-e-wahda-e-farda pay ahtmad karay
Khuda woh waqt na laye keh tujh ko yaad aaye

Woh dil keh teray liye beqarar ab bhi hay
Woh aankh jis ko tera inteaar abb bhi hai

No comments: