Friday, October 20, 2006

Peotry.........

********************************************************

Taray honton ke pholon ki chahut mein hum
dar ki khushk tehni pa waray gaey
taray hathon ki shamon ki hasrat mein hum
neem tareek rahon mein maray gaeu
soolion per humaray labon say paray
taray honton ki lali lapakti rehee
teree zulfon ki masti barasti rehee
taray hathon ki chandi damakti rehee
jab ghuli teree rahon mein sham-e-situm
hum chulay aaey jehan tuk laey qadam
lab pe harf-e-ghazal dil mein qindeel-e-gham
apna ghum tha gawahi taray husn ki
dekh qaim rehay is gawahi pay hum
hum jo tareek rahon mein maray gaey
narasai ager apni taqdeer thee
teree ulfut to apni he tadbeer thee
kis ko shikwa ger shoq ke silsilay
hijr ki qatal gahon say sub ja milay
qatal gahon se chun ke hamaray alam
aur niklein gay ushaq ke qaflay
jin ke rah-e-talab se hamaray qadam
mukhtasir ker chulay durd ke faslay
ker chulay jin ki khatir jehangeer hum
jan ganwa ke teree dilbari ka bharam
hum jo tareek rahon mein maray gaey
***********************************************************

No comments: