Wednesday, May 02, 2007

hameshaa ulajhatii rahii hai zulm se Khalqat
na unki rasm nai hai, na apanii riit naii
yuun hii hameshaa khilaaye hain hamane aag mein phuul
na unki haar naii hai na apanii jiit naii

isii sabab se falak kaa gilaa nahiin karte
tere firaaq men ham dil buraa nahiin karte

Gar aaj tujhse judaa hain to kal baham honge
ye raat bhar kii judaaii to koii baat nahiin
Gar aaj auj pe hai taala-e-raqiib to kyaa
ye chaar din kii Khudaaii to koii baat nahiin

jo tujhase ahd-e-wafaa ustavaar rakhate hain
ilaaj-e-gardish-e-lail-o-nihaar rakhate hain

No comments: